7 Keyword Research Mistakes, Jo Sayad Aap karte ho

Har blogger apne post ko Google ke 1st page pe rank karana chahta hai. Aur iske liye keyword research karta hai. Lekin kabhi kabhi usse keyword research mistake ho jati hai. Jiski wajah se post rank karne ke bajay niche rank par chali jati hai.

Post ko rank karane me SEO ke liye keyword research hamara pehla kadam hota hai. Keyword research kafi challenging ho sakta hai. To chaliye jante hai wo kaun se keyword research mistake hai jisse apko bachna jaruri hai?

Advertisements

Is post me main apko wo sabhi keyword research mistake bataunga jo log normally karte hain. Aap in galtiyon ko agar karne se khud ko bacha lenge aur in ko avoid kar lenge to ye fir apki keyword research strategy kle liye bahut acha sabit hoga.

To chaliye jante hain ye kaun se keyword research mistake hain jisse bach kar aap apne post ko perfect optimization kar sakte hain. Jisse aapka post high rank kar sakta hai. Ye apke post ko first page par rank karane me madad karega. Successful keyword research strategy janne ke liye niche bataye sabhi point ko dhyan se padhe aur inhe follow kare.

Page Contents [show]

Keyword Research Mistake in Hindi

Doston hum aur aap me se bahut se aise log hai jo SEO ke bare me jankari rakhte hain. Bahut log SEO ko achhi tarah se samajh kar kaam karte hain. lekin wahi kuch aise bhi bloggers hote hain jinki jankari aadhi adhuri hoti hai. Aapne ye to jarur suna hoga ki….
Aadhi knowledge Dangerous hoti hai.

Ye yahan bhi apply hota hai. Mere kuch blogger bhai is baat ko aaj ache se samajh le ki SEO koi fix chiz nayi hai. Google har din kuch naye updates laata rehta hai. Aur uska bas ek hi aim hai ki wo apne visitors best aur accurate results show karna chahta hai. Iska matlab agar aap visitor ko dimag me rakh kar kaam karte hain to hi Google apko acha rank de sakta hai.

Ab hum apne topic par aate hain. SEO karne me maine pehle hi bataya ki sabse pehla kadam hota hai “Keyword Research” Aur bahut sare bloggers yahi par jakar galti kar dete hain.

To agar aap apne pehle hi step me galti kar denge, uske baad apka har step galat hota jayega. Chahe aap best on-page seo kare aur quality content likh le traffic nahi aayegi.

Ye post aapke liye kafi important saabit ho sakta hai agar aap ki post rank nahi kar rahi hai. q ki ho sakta hai aap anjaneme wahi Keyword research ki galti kar rahe ho jo aapko nahi karni chaiye.

#1: Unrealistic Keyword ko target karna

Is baat ko hamesha dhyan rakhe ki unrealistic keyword ko bhulkar bhi target na kare. Kuch niche bahut competitive hote hain. Agar aapki niche website hai aur ye site bilkul nayi hai to isme rank karna bahut mushkil hota hai.

Shuruat me kabhi bhi competitive keyword matlab (“Head Keywords”) ko target na kare. Balki agar aap long tail keyword ko target karenge to bahut fayda hoga. Isse aap rank bhi kar sakenge aur fir convert karne ke chances jyada hote hain.

Chaliye ab ek example ke jariye ise samajhte hain ki aakhir long tail keyword or Head keyword ki tulna me kis tarah faydemand hai. Aur kis tarh ye ranking karne madad karta hai.

Maan lijiye ki apki website ki niche hai clothes. Agar aap clothes par rank karna chahate hain to ye bahut hi tough kaam hai. Aur khaskar nayi website ke liye ek tarah se pasine chhudane wala kaam. Iski tulna me agar aap designer clother for women keyword par target karenge to result bahut acha milega.

Also Read: 4 Best Free Keyword Research Tool

#2: Ek Post Ke Liye Sirf Ek Keyword Par Focus Karna

Agar aap ek bahut badhiya aur quality content likh rahe haion to isme sirf ek keyword ka istemal karna ek tarah se mitake hi hai, Kyu ki isse sirf apko ek hi keyword ke liye aane wali traffic milegi.

Jahan tak ho sake ek se jyada keyword ko use kare isse apki traffic badhegi. Lekin ek baat ka dhyan rakhe ki ye naturally istemal kare.

Successful keyword research strategy ke liye ye ek bahut hi important factor hai ki aap ek se jyda keyword ko apne post ke liye target kare.

#3: Keyword Research Ka Wrong Method

Proper keyword research bahut mushkil kaam hai. Sath hi isme kaafi waqt lag sakta hai. Isiliye ho sakta hai ki aapko lage ki itna time kyu waste kare. Jaldi se kuch keywords nikale aur use kar le.

Yahin par aap galti kar dete hain. Aap soch lete hain ki aap jo keyword select kar rahe hain wahi apke visitors use karte hain search ke liye. Ye apki soch hoti hai lekin ye sahi nahi hai.

Keyword research me agar aap enough time nahi dete to fir ho sakta hai apko wo keyword nahi mila hai jo apke liye post ko rank karane me jyaada faydemand ho sakta hai.

Jaldbaji sahi nahi hai ye apko bhi malum hoga. Aap jis keyword ko rank karna chahte hain uske liye pura waqt de aur aise keyword ko select kare jo post ko jaldi rank karaye.

Aap jo post likhna chahte hain uske liye keyword research ki ek list taiyar kare. Aur usko consistency ke sath update kare. Ho sakta hai kuch dino baad apke users ke search hone wale keyword badal gaye ho.

Apne audience ko banaye regular banaye rakhna chahte hain to apne post ke keywords ko bhi update karte rehna chahiye.

Keyword Research karne ka Free or sabse Best tarika kya hai uski jankari aapko yaha mil jayegi.

#4: Irrelevant Keyword Ko Target Karna

Aap waise keywords ko target kare jo apke users use karte hain. Users jin keywords ko search karte hain same hi hone chahiye. Apne audience ki bhasha ko samjhe aur usi ko istemal kare.

Example ke liye aap Branded shoes ka business karte hain aur brand ke according shoes rakhte hain. Aise me jyada log Branded shoes names jyada search nahi kiya jata. Audience Nike shoes jyada search karenge. Agar aap irrelevant keyword Branded shoes names use karnge to apko jyada traffic nahi milegi.

#5: Keywords Ke Singular aur Plural Par Care Na Karna

Jab aap kisi keyword ko select karte hain. To ye bhi ek important factor hai ki aap apne keyword ka form jarur dekh le. Yani ki aap is baat ka dhyan rakhe ki aapne jo keyword select kiya hai usme “s or es” add karne se jyada traffic hai ya fir bina “s or es” ke jyada traffic hai.

Yahan hum ek keyword le lete hain aur use check karte hain to jo difference aayega usse apko ye samajhne me mushkil nahi hogi ki singular aur plural keyword research strategy ke liye kitna important hai. 1.8 million ka fark hai.

Aap kisi bhi keyword ki traffic kisme jyada hai aur singular ya plural select karna hai iske liye ek tool ka istemal kar sakte hain. Google Trends iske bare me hume perfect jankari de deta hai.

Bahut se users keyword ke singular form ka use kar ke information lena chahte hain aur kuch visitors plural ka istemal comparison ke liye bhi karte hain.

#6: Without Traffic Wale Keyword Ka Select karna

Google apne visitors ko satik search result dene ke liye puri koshish karta hai. Users jo search kare usko satisfaction mile.

Hum aur aap har din google me search karte hain. Aur apni jankari puri karne ke liye hum khud hi lambe lambe sentence likh ke search karte hain. taki hum jo dhundh rahe hain wo aasani se mil jaye.

Isiliye ab har blogger long tail keyword hi istemal karne lage hain. Long tail keyword se rank karna bahut aasan hai. Aur wahi visitors apke site me aate hain jo bilkul usi term ko search karte hain.

Long tail keyword use karna bahut faydemand to hai lekin sabse important baat ye hai ki usme traffic ka dhyan rakhna.

Yahan jyadar blogger yahin par galti kar dete hain aur aise longtail keyword ko use karte hain jisme traffic zero hota hai. Ab aap hi batao aise keyword par rank karne se kya fayda jise koi search hi nahi karta.

#7: Apne Used Keyword Ke Performance Ko Check na Karna

Agar aapne kisi keyword ko target kiya hai to ye janna bhi jaruri hai ki apko usme safalta mili ya nahi. Aap ko apne target keyword regularly check karna jaruri hai. Ye jarur dekhe ki log apke likhe article tak pahunch pa rahe hain ya nahi.

Incognito window ko open kar ke usme apne used keyword ko search kar ke check kare ki apka post search result me kahan par hai. Isse apko pata chal jayega ki apko aur kitna improvement karne ki jarurat hai.

To agar aap ye kaam karna bhul jate hain to fir iska matlab aap apne keyword ke liye serious nahi hai. Aur ye apki ek galti hai jisse aapki post rank nahi kar pati hai.

Kis keyword par kaha rank kar rahi hai post wo aap Google Search Console me bhi dekh sakte hai.

Conclusion

Doston ab aap samajh gaye hone ki aakhir most bloggers kaun si keyword research mistakes karte hain jiske wajah se search result me rank nahi kar pate. Mujhe ummid hai ki aapko ye post pasand aayi hogi. Aur aap bahut ache se samajh gaye honge ki aapki post rank kyu nahi kar pati.

Successful keyword research strategy apke liye bahut fayda pahuncha sakta hai. Agar aap upar bataye gaye sare points ko ache tarike se follow karte hain to fir apke post ko rank karne se koi nahi rok sakta balki Google aapke post pasand karega aur SERP me achi ranking dega.

Related posts

Leave a Comment